Barso purani yeh baat hai, Choti si ek ladki thi; Dil mein uske aas yoon jagi Apni kahani dhundne nikli thi. Kaha kaha na dhunda usne, Kaha kaha yoon bhatki thi; Galiyon mein, logo mein, Paharo mein samunder mein, Yaha tak ke baarish aur dhoop mein bhi, Apni kahani dhoondhti firti thi bechari. Par afsoos, usse uski kahani nahi mili. Zindagi ke kitaab ke kuch panne adhure thee, Anjaan sa ek darr tha aur kirdar bade ajeeb thee. Logo ne kaha jhalli hai, Utpatang si sapne bunti rehti hai, Kya bekar mein aas lagaye baithi hai. Aise milti hai kya kahaniya? Jaise bazaar mein bikta koi khilona? Par yeh dekho, ek din aisa hua, Ke yoon achanak kahani dhundte huye Woh mujhse aake takrayi. Woh lekhak nahi, kavi nahi, Par baaton mein mujhko bohot bhaayi. Aur usse achanak aisa laga ke shayed Usko uski kahani mil gayi. Iss kahani mein dekho woh thi Jaise hamesha hona chahti thi Azad. Khush. Thodi si pagal. ...