Veerangana Gatha

 Ao Sunaaye Tumko Gathaa,
Gaatha kuch Veero ki,
Gatha ek swaraj ki, Sapna ek swadhinta ki.

Gatha Patniyoke Prem o ki, Gaatha Maa o ke Biswaso ki.
Ao sunaye tumko gatha,
Gatha ek Mewar ki. Gatha ek Maratha Ki.
Gatha ek Bharat ki.

Yeh katha hai Shurveero ki,
Maharana O ki, Maharaja O ki.
Yeh gatha hai Chatrapatiyo ki.
Gatha unke yudho ki, adarsho ki, sammano ki.

Kahani Unn Maharaniyo ka, Rajkumariyo ka, Veerangana o ka.
Katha unke atmasammano ka. Premo Ka. Bhaktiyo ka.
Gatha ek Meera ka, ek Padmini ka, Ek Karnavati ka.

Suno katha unn Maa o ka. Unke Parvarish Ka. Balidaano ka.
Yeh Gatha ek Jijabai ka, ek Panna Dhai ka, ek Jaivanta Bai ka.
Suno katha unn Patniyo ka. Unke pratikska ka. Tapasya ka.

Unke vachan o aur satitwa ka.
Yeh Gatha hai ek Ajabdeh ka, ek Saibai ka, ek Jiwa ka.
Suno katha unn deviyon ka, Unn Maa o ke ashisho ka.

Suno Katha ek Veer ki, Dharti k ek putra ki, Eklinji ki Avatar ki,
Suno Gatha ek Swadhinta premi Pratap ki.
Suno Katha uss Suput ki, Bhavani Maata ke uss Rakshak ki,
Swaraj ke swapno ki.

Suno Gatha ek Shivaji ki.
Yeh Desh bana hai unke lahu se, Jauhar o ki chingaario se.
Yeh Desh bana hai unke adarsho se, Kabhi na jhukne wali unn sheesh o se.

Itihas gawa hai unn panno ka, Jaha kho gaye log kayi.
Ajabdeh ka prem, Sai ka vishwas,
Reh gaya Ankaheen.

Kahani unn veer o ki sab hai jaane, Par jaane nahi unn prerna o ko.
Kaha Itihas ne yaad rakha unn maata o ki Balidaano ko.
Kaha unn patni o ka prem kho gaya gusre kal mein.
Koi na jaane kitne aasu bahe thee unke yaad mein.

Kaun jaana kyun dukhi thee Pratap ke antim din,
Kaun jaana Kyun Shivba leta raha “Sai” ka naam anth mein har din.
Koi na jane unke janmo ki unn sathiyo ko.
Koi na jana kaise unhone chua Yodhya o ke mann o ko.

Aao Sunaye tumko hum Aj woh saari kahani.
Kisse kayi, itihas nayi, jo rache unke baani.
Jaha jee uthe ek baar phirse unke prem o ki bhasha.

Ek baar phir jaise Ajabdeh Baisa kare kisi ki pratiksha.
Ek Baar phir kahi Saibai maange unki prano ki raksha.
Ek Baar phir kayi ek jija utha de apne putra ke haato talwar.
Ek baar phir chalo Jaivanta Bai kare kisi ke rakht Tilak.
Ek baar phir chalo jee le unn veeranganao ki katha o ko,
Phir se jeevit karde unn kahaniyo ko.

Kyunki yeh Dharti nahi hai sirf unn Veero ka,
Yeh hai unke jeevan sathi o ka. Yeh hai Veerangana o ka.
Hai Humari Hai tumhari.
Yeh Dharti hai Bharat ki Maata o ka.

-As Felt By Suranya Sengupta 
Written on 06.06.2016.



Comments