I
Tum Kabhi Mile Nahi Hume
Dhund Dhundke Aakhein Thak Gayi Humari.
Tum Jaise Ho Bhi, Aur Nahi Bhi.
Tum Umeed Ho Aur Dard Bhi.
Aasoon Ho Aur Muskaan Bhi.
Tum Kabhi Mile Nahi Hume,
Bas Tumhara Ehsaas Hi Raha Hamesha.
Jo Chukar Gizar Jaati Hume.
Ye Yaad Dilata Ke Hum Dono
Ek Kahani Bhi Ho Sakta Hai.
Ye Zindagi Akhir Ek Kahani Hi Toh Hai.
Tumko Sochke Kahaniyaan Bunte Hum.
Phir Ekdin Aisa Hua Ke
Tumse Zyada Humari Kahaniyon Se Pyar Ho Gaya Hume.
Har Jagah Bas Humari Kahani Dhundne Lage Hum.
Rishton Mein, Logon Mein, Gaano Mein...
Duniya Dhund Liya Tabh Yaad Aaya
Apne Dil Mein Jhakna Bhul Gaye Hum.
Waha Dastak Deke Dekha Toh,
Ehsaas Yoon Hua Ke,
Tum Milo Naa Milo
Hume Humari Kahani Mil Gayi.
II
Kabhi Jab Sawaan Ki Pehli Baarish
Meri Balcony Ko Chukar Jaati Thi
Tum Bhi Chad Pe Bheeg Liya Karte Hoge.
Subah Ki Pehli Kiran Aur Raat Ka Pehla Tara
Aksar Mujhe Tumhare Kareeb Hone Ka Ehsaas Deti Hai.
Aur Hawa Yoon Kirno Se Milti
Jaise Tumhara Ehsaas Mere Saason Mein Samaya Ho.
Main Aur Tum Bhi Kabhi Ek Kahani Huwa Karte Thee
Yaad Hai Woh Sapne, Jo Hum Dekha Karte Thee?
Tere Sath Hone Ke Dua Mang Liya Karte Thee.
Tum Aur Main Kahi Kho Gaye,
Samay Ke Sath Maano Kharch Ho Gaye.
Hum Pehle Jaise Nahi Rahe Par Dekho,
Kitaabo Ke Panno Mein Amar
Humari Kahani Reh Gayi.
III
Main Aur Tum Kabhi Jis Kahani Ka Hissa Huwa Karte Thee,
Kabhi Ek Kahani Aisi Bhi Thi Humari
Jaha Beet Jaati Thi Sadiyaan Intezaar Mein
Din, Mahine, Saal Ke Bahane
Dhundla Jaati Thi Kahi Khiza Mein
Humari Adhoori Kahani.
Tum Aur Hum Jab Mile Thee,
Aisa Laga, Maano Pehli Barkha Ki Mor Jaise
Naach Utha Tha Dil.
Woh Samah Mein Jaise Jalte Diye,
Waise Jalte Hum Ehsaas Mein.
Phir Sahil Ke Raeth Jaise Tum Phisal Jaate Thee;
Jaise Boond Ho Baarish Ka Ya Intezaar Milne Ka
Waise Hi Humari Akhein Dur Takti Hai
Jab Tak Dhul Uraake, Nagada Bajake Tum Wapas Naa Ao.
Kahani Ka Shurwaad Tha Wo
Aur Khatam Uss din Hua, Jab Ye Akhein Bundo Ki Baarish Kiya
Tum Toh Naa Aaye, Par Tumhare Sandese Ne Dil Todh Diya.
~ Suranya
(16.07.2018)
Comments
Post a Comment