Search This Blog

Wednesday, November 28, 2018

Musafir

Ae Musafir, 

Mere khwabo ka humsafar hai Tu.

Jab manzil dhund ke thaka yeh dil 

Tabh jaake yoon samjhe hum 

Ke yeh safar toh kabhi 

Manzilo ka tha hi nahi.

Safar tha apne aap se bahar aake 

Khud ko dekhne ki 

Tujh mein kho ke, khud ko dhune ki.

Aur khud ko paake, 

Tere paas aane ki.

Manzil toh safar hi tha mera 

Jisme Tera sath pana tha.

Ab manzil ka kya karna, 

Jab Tera pyar pa liya.

~ Suranya