Search This Blog

Wednesday, September 12, 2018

Yeh Ishq Nahi Asaan

Patta patta boota boota kehti hai dastaan Ishq ki, 

Kahi ek Ranjha bana firta apne Heer k liye Fakir, 

Kahi Sahiba karti intezar Mirza ke ghore ki, 

Aur kahi kisi dur Laila ko dhundte huye 

Khud hi Ishq bann jaata uska Majnun Qais.

Din badalte, dunia badal jaati,

Hazaro jung mein hazaro jaan hai jaati,

Phir bhi yeh dunia yaad toh rakhta

Sirf ishq mein khoye unn saheedo ko,

Yeh dunia hi jinhe alag kar deti.

~ Suranya