Kyun hai akhir yeh sarhadein
Humko juda karti huye?
Jab ke hum hai toh wohi
Jo sath larre thee,
Apno ke liye aasu bahaye thee.
Jab ki hum aur tum
Ek sath hi toh azaad huye thee.
Akhir kyun hai yeh sarhadein
Humko juda karti huye?
Jab ke humare itihas ke panne ek hai
Har sarak ek hai har sheher ek hai.
Jab ki har ek khaane ke swaad mein,
Kapre ke rang mein
Aur jagah ke ehsaas mein
Hum aur tum ek jaise hi toh hai.
Todh do yeh sarhadein
Jaha har waqt tumhara aur mera
Koi bhai larta rehta hai
Desh ke naam pe kurbani deta rehta hai.
Todh do yeh deeware
Jo kabhi koi Veer aur Zaara ko Milne nahi deti.
Jab ke uss paar koi sheher mein
Ranjha Heer le dastaan batata koi ashiq,
Iss paar kisi gaon mein
Mirza Sahiba ke kahani
Sunata koi premi;
Kahani toh humari akhir ek hi hai
Bas tum aur main do desh bann gaye
Naam alag bhes alag
Par akhir ruh toh humara ek hi hai.
Kahi yaha ke lori ka dhun
Mil jaati hai usspar ki dhun se.
Kahi iss par ka baarish bhiga deti
Uss paar ki mitti ko.
Pyar se kyun nahi ek ho sakta yeh duniya humari?
Kyun bichre hum aur tum?
Insaano ki iss bhir mein.
© Suranya
Comments
Post a Comment