Veer Pratap ko Naman

Kumbhalgarh Ke Aanchal Mein,
Ek Balak Jab Raat Ko Ro Utha,
Subah Suraj Muskaayi Thi,
Mewar ne Khushiyaan Manayi Thi.

Jab Jab Uske Teer Chale,
Talwar Kisise Takraye,
Shatru Ke Wrid Kaape,
Uske Naam Se Aise Daare.

Bheel O Ke Woh Mitra Kika,
Mewar Ka Dharti Putra Tha,
Veer Pratap Janam Se Hi,
Mewar Ka Rakhwala Tha.

Bhai Shakti Jab Gaye Chodh
Sinhasan Ka Mol Jana.
Bhai Bhai Se Laree Aise
Moh Hai Takt Ka Maana.

Ajab Amar Hai Unki Kahani,
Baccho Baccho Ko Hai Sunani,
Jaivanta Ke Guroor Se Paale,
Kshatriya Woh Jo Kabhi Na Taale.

Chittor Ke Jauhar Ke Ashko Se,
Jiska Rajya Baitha Tha,
Uss Pratap ne Kabhi Bhi,
Dusra Jauhar Na Hone Di.

Haldighati Ke Mitti Ko
Range Rakt Talai Tha.
Man Singh Pe Vaar Kiye Woh,
Chetak Se Toh Sher Bhi Darta Tha.

Dukh Bhare Jeevan Mein Woh,
Na Jaane Kitne Apne Khoye,
Ajab Chetak Ke Jaane Se,
Rajya Se Bhi Vimukh Huye.

Par Jhuka Nahi Sarr Rajput Ka.
Larte Rahe Woh Mughalo Se.
Anth Mein Akbar Ne Maana,
Nahi Jhukega Pratap Talwaro Se.

Hari Ghaas Ki Roti Khayi,
Malmal Mein Kabhi Na Soye,
Ghar Unka Jungle Hi Bana,
Mahal Ka Sukh Kabhi Na Bhoge.

Bharat Ke Woh Pehla Putt,
Jo Swabhimaan Ka Prateek Bana.
Bharat Ka Woh Pehla Rakt,
Jo Swadeenta Ke Liye Baha.

Chavand, Chittor, Kumbhalgarh,
Roye Thee Unke Yaad Mein.
Maano Aakhein Taras Gaye,
Unke Jhalak Ki Chah Mein.

Jab Sara Bharat Karta Naman Aise Shurveero Ko,
Maat Bhulna Tum Unn Maata O Aur Stree O Ko.

Yodha Ke Mann Mein Jisne
Bhari Prem Ki Daali Thi,
Sehmi Si Par Swabhimani,
Ek Ajab Deh Mann Mein Basti Thi.

Jab Jab Unke Chott Bhare,
Par Zakhm Dil Pe Rehti Thi,
Tabh Tabh Ek Maata Sadev,
Lep Se Umeed Bharti Thi.

Jab Yudho Ke Hunkaar Uthe, Eklingji Ke Naam Se.
Tabh Tabh Streeyaan Unke Liye Jeevan Ki Mannat Mangti Thi.

Veer Woh Jo Jhuke Nahi,
Par Ek Aas Jo Mita Nahi.
Chittor Raha Mughalo Ka,
Par Woh Antim Saas Tak Ruke Nahi.

Jhalla, Punja, Tanwaro Ne,
Di Ahooti Prano Ki.
Sab Ke Liye Larte Rahe Woh,
Sarr Na Jhuke Rajput Aan Ki.

Jab Woh Gaye Dharti Se,
Maano Dharti Bhi Roya Tha.
Akbar Kya Aasu Bahaye,
Mewar Ka Kann Kann Roya Tha.

Aj Bhi Hum Bhule Nahi,
Aapki Unn Balidaano Ko,
Aj Bhi Akhiyaan Dhundti Hai,
Aap Ke Jaise Swabhimaaniyon Ko.

Bharat Karta Naman Ek Shurveer Ko.
Mewar Karta Naman Apne Veer Putra Ko.
Sab Aj Bhi Karte Naman Apke Adarsho Ko.

Main Karti Hoon Naman Apke Diye Huye Har Ek Ehsaas Ko.


~ Suranya


Comments