Mewar Ke Rang

Mewar ke angan mein jab lal Talai behti thi.

Gerua aur safed se yudh ki dhara behti thi.

Ussi dharti ke putra ne

Sabke mann mein aasha ki kiran jalaai thi

Tilak laga maidaan mein utra jab jab woh

Dharti muskuraai thi

Zulmiyon ke neendo ko Mewar ki dharti churai thi.

Aj unn rango pe Jo pyaar ka rang charhaya hai.

Issi holi utsav mein kabhi umeed ki siyasaat baithi thi.

Mewar Ki Dharti ke har rang mein rangke koi rehti thi.

Unke Mann ke rango ko jisne laal se rangayi thi.

Unke dil mein bhi aise koi rehti thi.

Aj Holi phirse aati, unki yaadein Mewar ko satati.

Abhi bhi mewar jag uthti unke veer gatha o se.

Jaha har din Holi ki uss Rajtilak ke yaad mein

Rang jaati hai mewar ki dharti nayi asha ki rango se.

~ Suranya

Popular posts from this blog

The Silence Screams

Am I Brave Enough?

Finding Peace